Song ID- 10231
Film- Prem Pujari
Song Title- Phoolon Ke Rang Se
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Phoolon Ke Rang Se, Dil Ki Kalam Se, Tujhko Likhi Roz Paati
Kaise Bataaoon, Kis Kis Tarah Se, Pal Pal Mujhe Tu Sataati
Tere Hi Sapne, Lekar Ke Soya, Teri Hi Yaadon Mein Jaaga
Tere Khayaalon Mein, Uljha Raha Yoon, Jaise Ki Maala Mein Dhaaga
Haan Baadal Bijli, Chandan Paani, Jaisa Apna Pyar
Lena Hoga, Janam Humein, Kayee Kayee Baar
Haan Itna Madir, Itna Madhur, Tera Mera Pyar
Lena Hoga, Janam Humein, Kayee Kayee Baar

Saanson Ki Sargam, Dhadkan Ki Beena, Sapnon Ki Geetanjali Tu
Man Ki Gali Mein, Mehke Jo Hardum, Aisi Juhi Ki Kali Tu
Chhota Safar Ho, Lamba Safar Ho, Sooni Dagar Ho Ya Mela
Yaad Tu Aaye, Man Ho Jaaye, Bheed Ke Beech Akela
Haan Baadal Bijli, Chandan Paani, Jaisa Apna Pyar
Lena Hoga, Janam Humein, Kayee Kayee Baar
Haan Itna Madir, Itna Madhur, Tera Mera Pyar
Lena Hoga, Janam Humein, Kayee Kayee Baar

Purab Ho Paschim, Uttar Ho Dakshin, Tu Har Jagah Muskuraaye
Jitna Hi Jaaoon, Main Door Tujhse, Utni Hi Tu Paas Aaye
Aandhi Ne Roka, Paani Ne Toka, Duniya Ne Hanskar Pukaara
Tasveer Teri, Lekin Liye Main, Kar Aaya Sab Se Kinaara
Haan Baadal Bijli, Chandan Paani, Jaisa Apna Pyar
Lena Hoga, Janam Humein, Kayee Kayee Baar
Haan Itna Madir, Itna Madhur, Tera Mera Pyar
Lena Hoga, Janam Humein, Kayee Kayee Baar
Kayee Kayee Baar
Kayee Kayee Baar


close window