Song ID- 10436
Film- Kashmir Ki Kali
Song Title- Yeh Chand Sa Roshan Chehra
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Yeh Chand Sa Roshan Chehra, Zulfon Ka Rang Sunehra
Yeh Jheel Si Neeli Aankhen, Koi Raaz Hai Inmein Gehra
Taareef Karoon Kya Uski, Jisne Tumhe Banaaya

Ek Cheez Qayamat Bhi Hai, Logon Se Suna Karte The
Tumhe Dekh Ke Maine Maana, Woh Theek Kaha Karte The
Woh Theek Kaha Karte The
Hai Chaal Mein Teri Zaalim, Kuch Aisi Bala Ka Jaadu
Sau Baar Sambhaala Dil Ko, Par Ho Ke Raha Beqaabu
Taareef Karoon Kya Uski, Jisne Tumhe Banaaya
Yeh Chand Sa Roshan Chehra, Zulfon Ka Rang Sunehra
Yeh Jheel Si Neeli Aankhen, Koi Raaz Hai Inmein Gehra
Taareef Karoon Kya Uski, Jisne Tumhe Banaaya

Har Subah Kiran Ki Laali, Hai Rang Tere Gaalon Ka
Har Shaam Ki Chaadar Kaali, Saaya Hai Tere Baalon Ka

Saaya Hai Tere Baalon Ka
Tu Balkhaati Ek Nadiya, Har Mauj Teri Angdaayee
Jo In Maujon Mein Dooba, Usne Hi Duniya Paayee
Taareef Karoon Kya Uski, Jisne Tumhe Banaaya
Yeh Chand Sa Roshan Chehra, Zulfon Ka Rang Sunehra
Yeh Jheel Si Neeli Aankhen, Koi Raaz Hai Inmein Gehra
Taareef Karoon Kya Uski, Jisne Tumhe Banaaya

Main Khoj Mein Hoon Manzil Ki, Aur Manzil Paas Hai Mere
Mukhde Se Hata Do Aanchal, Ho Jaayen Door Andhere
Ho Jaayen Door Andhere
Maana Ki Yeh Jalwe Tere, Kar Denge Mujhe Deewana
Jee Bhar Ke Zara Main Dekhoon, Andaaz Tera Mastana

close window