Song ID- 10592
Film- Dil Hai Tumhara
Song Title- Chhaaya Hai Jo Dil
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Chhaaya Hai Jo Dil Pe, Kya Nasha Hai
Aisa Lag Raha Hai, Pyar Ho Raha Hai
Ho Chhaaya Hai Jo Dil Pe, Kya Nasha Hai
Aisa Lag Raha Hai, Pyar Ho Raha Hai
Beqaraari Mein Bhi, Kitna Mazaa Hai
Aisa Lag Raha Hai, Pyar Ho Raha Hai

Apni Palkon Mein, Mujhko Chhupaaya Hai
Ek Chehre Ne, Mera Chain Churaaya Hai
Har Taraf Shokh, Mausam Ka Saaya Hai
In Hawaaon Ne Mera, Aanchal Udaaya Hai
Dil Mein Jo Chhupi Hai, Ik Dilruba Hai
Aisa Lag Raha Hai, Pyar Ho Raha Hai
Beqaraari Mein Bhi, Kitna Mazaa Hai
Aisa Lag Raha Hai, Pyar Ho Raha Hai

Main To Deewani, Teri Hone Lagi
Ajnabi Khayaalon Mein Khone Lagi
Kuch Khabar Hui Na, Mujhko Teri Kasam
Kab Aur Kahan Yeh, Chaahat Hui Sanam
Dard Hai, Chubhan Hai, Hayaa Hai
Aisa Lag Raha Hai, Pyar Ho Raha Hai
Chhaaya Hai Jo Dil Pe, Kya Nasha Hai
Aisa Lag Raha Hai, Pyar Ho Raha Hai
Beqaraari Mein Bhi, Kitna Mazaa Hai
Aisa Lag Raha Hai, Pyar Ho Raha Hai
Aisa Lag Raha Hai
Aisa Lag Raha Hai
Aisa Lag Raha Hai
Pyar Ho Raha Hai


close window