Song ID- 11403
Film- Khel
Song Title- Na Hai Zameen Na Aasman
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Na Hai Zameen, Na Aasman, Laaye Kahan Ho Humko
Baadal Nagar, Hai Mera Ghar, Laaya Jahan Hoon Tumko

Chhodo Haseen, Baadal Mein Bhi, Koi Bhala Rehta Hai
Aa Dekh Le, In Aankhon Se, Deewana Sach Kehta Hai

Teri Is Nagri Mein, Kaise Raste Hain
Pair Sitaaron Par, Rakh Kar Chalte Hain
Teri Is Nagri Mein, Kaise Raste Hain
Pair Sitaaron Par, Rakh Kar Chalte Hain
Ik Taara Woh, Chamka Hai Jo, Dega Mujhe Woh Nagina
Ab Chand Hai, Bindiya Teri, Suraj Tera Aaina
Na Hai Zameen, Na Aasman, Laaye Kahan Ho Humko
Baadal Nagar, Hai Mera Ghar, Laaya Jahan Hoon Tumko

Pyar Ke Yeh Baadal, Humko Ghere Hain
Dhundle Ujaale Hain, Ujle Andhere Hain
Pyar Ke Yeh Baadal, Humko Ghere Hain
Dhundle Ujaale Hain, Ujle Andhere Hain
Yeh Pyar Ke, Baadal Ghane, Kal Ko Pighal Jaayen To
Sun Ae Haseen, Hum Woh Nahin, Ik Din Badal Jaayen Jo

close window