Song ID- 11537
Film- Geet Gaaya Pattharon Ne
Song Title- Tere Khayaalon Mein Hum
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Tere Khayaalon Mein Hum, Teri Hi Baahon Mein Hum
Tere Khayaalon Mein Hum, Teri Hi Baahon Mein Hum
Apne Hain Dono Jahaan, Ho Jaayen Bekhud Yahan
Tere Khayaalon Mein Hum

Hoon Roshni Bhor Ki, Palkon Mein Tere Chhupi
Jab Aankh Kholega Tu, Putli Mein Honge Hum Hi
Hum Hain Kalaa Ki Zabaan, Aankhon Mein Tere Ravaan 
Tere Khayaalon Mein Hum

Madbhari Chanchal Yeh Shaam, Deti Hai Tujhko Payaam
Patthar Pe Kar Shaayari, Tujhko Hamara Salaam
Tu Hai Jahan Hum Wahan, Jhoome Zameen Aasman
Tere Khayaalon Mein Hum


close window