Song ID- 12063
Film- Taqdeer
Song Title- Jab Jab Bahaar Aayee (male)
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Jab Jab Bahaar Aayee, Aur Phool Muskuraaye
Mujhe Tum Yaad Aaye, Mujhe Tum Yaad Aaye

Jab Jab Bhi Chand Nikla, Aur Taare Jagmagaaye
Mujhe Tum Yaad Aaye, Mujhe Tum Yaad Aaye

Apna Koi Taraana, Maine Nahin Banaaya
Apna Koi Taraana, Maine Nahin Banaaya
Tumne Mere Labhon Pe Har Ek Sur Sajaaya
Ho O O..., Jab Jab Mere Taraane, Duniya Ne Gungunaaye
Mujhe Tum Yaad Aaye, Mujhe Tum Yaad Aaye

Ek Pyar Aur Wafa Ki, Tasveer Maanta Hoon

Tasveer Kya Tumhe Main, Taqdeer Maanta Hoon 
Ho O O..., Dekhi Nazar Ne Khushiyaan, Ya Dekhe Gum Ke Saaye
Mujhe Tum Yaad Aaye, Mujhe Tum Yaad Aaye

Mumkin Hai Zindagani, Kar Jaaye Bewafaai

Lekin Yeh Pyar Woh Hai, Jismein Nahin Judaai
Ho O O..., Is Pyar Ke Fasaane, Jab Jab Zubaan Pe Aaye

close window