Chingari Koi Bhadke
Chingari Koi Bhadke, To Saawan Use Bujhaaye
Saawan Jo Agan Lagaaye, Use Kaun Bujhaaye
Ho Use Kaun Bujhaaye
Patjhad Jo Baagh Ujaade, Woh Baagh Bahaar Khilaaye
Jo Baagh Bahaar Mein Udje, Use Kaun Khilaaye
Ho Use Kaun Khilaaye
Humse Mat Poocho Kaise, Mandir Toota Sapnon Ka
Humse Mat Poocho Kaise, Mandir Toota Sapnon Ka
Logon Ki Baat Nahin Hai, Yeh Kissa Hai Apnon Ka
Koi Dushman Thens Lagaaye, To Meet Jiya Behlaaye
Manmeet Jo Ghaav Lagaaye, Use Kaun Mitaaye
Na Jaane Kya Ho Jaata, Jaane Hum Kya Kar Jaate
Na Jaane Kya Ho Jaata, Jaane Hum Kya Kar Jaate
Peete Hain To Zinda Hai, Na Peete To Mar Jaate
Duniya Jo Pyaasa Rakkhe, To Madira Pyaas Bujhaaye
Madira Jo Pyaas Lagaaye, Use Kaun Bujhaaye
Ho Use Kaun Bujhaaye
Maana Toofan Ke Aage, Nahin Chalta Zor Kisi Ka
Maana Toofan Ke Aage, Nahin Chalta Zor Kisi Ka
Maujon Ka Dosh Nahin Hai, Yeh Dosh Hai Aur Kisi Ka
Majdhaar Mein Naiyya Dole, To Maajhi Paar Lagaaye
Maajhi Jo Naav Duboye, Use Kaun Bachaaye
Ho Use Kaun Bachaaye
Chingari...
|