Song ID- 1247
Film- Jo Jeeta Wohi Sikandar
Song Title- Pehla Nasha
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Chaahe Tum Kuch Na Kaho, Maine Sun Liya
Ki Saathi Pyar Ka, Mujhe Chun Liya
Chun Liya, Maine Sun Liya

Pehla Nasha, Pehla Khumaar
Naya Pyar Hai Naya Intezaar
Kar Loon Main Kya Apna Haal
Ae Dil-E-Beqarar
Mere Dil-E-Beqarar
Tu Hi Bata
Pehla Nasha, Pehla Khumaar

Udta Hi Phiroon In Hawaon Mein Kahin
Ya Main Jhool Jaaoon In Ghataon Mein Kahin
Udta Hi Phiroon In Hawaon Mein Kahin
Ya Main Jhool Jaaoon In Ghataon Mein Kahin
Ek Kar Doon Aasman Aur Zameen
Kaho Yaaron Kya Karoon Kya Nahin
Pehla Nasha, Pehla Khumaar
Naya Pyar Hai Naya Intezaar
Kar Loon Main Kya Apna Haal
Ae Dil-E-Beqarar
Mere Dil-E-Beqarar
Tu Hi Bata
Pehla Nasha, Pehla Khumaar

Usne Baat Ki Kuch Aise Dhang Se
Sapne De Gaya Woh Hazaaron Rang Ke
Usne Baat Ki Kuch Aise Dhang Se
Sapne De Gaya Woh Hazaaron Rang Ke
Reh Jaaoon Jaise Main Haar Ke
Aur Choome Woh Mujhe Pyar Se
Pehla Nasha, Pehla Khumaar
Naya Pyar Hai Naya Intezaar
Kar Loon Main Kya Apna Haal
Ae Dil-E-Beqarar
Mere Dil-E-Beqarar


close window