Song ID- 1284
Film- Masoom
Song Title- Tujhse Naraaz Nahin Zindagi (male)
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Tujhse Naraaz Nahin Zindagi
Hairaan Hoon Main
Ho Hairaan Hoon Main
Tere Masoom Sawaalon Se
Pareshaan Hoon Main
Ho Pareshaan Hoon Main

Tujhse Naraaz Nahin Zindagi
Hairaan Hoon Main
Ho Hairaan Hoon Main
Tere Masoom Sawaalon Se
Pareshaan Hoon Main
Ho Pareshaan Hoon Main

Jeene Ke Liye Socha Hi Nahin
Dard Sambhaalne Honge
Jeene Ke Liye Socha Hi Nahin
Dard Sambhaalne Honge
Muskuraayen To Muskuraane Ke
Karz Utarne Honge
Ho Muskuraaoon Kabhi To Lagta Hai
Jaise Hothon Pe Karz Rakkha Hai
Ho Tujhse Naraaz Nahin Zindagi
Hairaan Hoon Main
Ho Hairaan Hoon Main

Zindagi Tere Gum Ne Humein
Rishte Naye Samjhaaye
Zindagi Tere Gum Ne Humein
Rishte Naye Samjhaaye
Mile Jo Humein Dhoop Mein Mile
Chhaaon Ke Thande Saaye

Ho Tujhse Naraaz Nahin Zindagi
Hairaan Hoon Main
Ho Hairaan Hoon Main

Aaj Agar Bhar Aayeen Hain
Boondein Baras Jaayengi
Aaj Agar Bhar Aayeen Hain
Boondein Baras Jaayengi
Kal Kya Pata Inke Liye
Aankhen Taras Jaayengi
Ho Jaane Kab Ghum Hua Kahan Khoya
Ek Aansoo Chhupa Ke Rakkha Tha
Ho Tujhse Naraaz Nahin Zindagi
Hairaan Hoon Main
Ho Hairaan Hoon Main

Tere Masoom Sawaalon Se
Pareshaan Hoon Main
Ho Pareshaan Hoon Main
Ho Pareshaan Hoon Main
Ho Pareshaan Hoon Main


close window