Yeh Ujli, Chandni Jab, Hasraton Ko, Gudgudaayegi

Na Humko Neend Aayegi, Na Tumko Neend Aayegi

Ijaazat Ho To Apne Jazba-E-Dil Ko Parakh Loon Main
Tumhare Dilruba Hothon Pe Apne Hoth Rakh Doon Main
Tum Apne, Garm Hothon Ko, Banaao Yoon Na Awaara
Dil Itni Zor Se Dhadkega, Sun Lega Yeh Jahaan Saara
Agar Aisa, Hua To, Raat Humpar, Muskuraayegi
Na Humko Neend Aayegi, Na Tumko Neend Aayegi
Yeh Ujli, Chandni Jab, Hasraton Ko, Gudgudaayegi
Kareeb Aao Meri Jaan-E-Jahaan Kuch Aur Khul Jaao
Meri Aagosh Mein Simto Meri Saanson Mein Ghul Jaao
Badan Hai, Mom Sa Mera, Lagana Haath Narmi Se
Pighal Jaaoon Na Main Jaanam, Tere Haathon Ki Garmi Se
Yeh Garmi, Donon Ko, Deewana, Banaayegi

|