Song ID- 14900 ... (Categories- Sad | Separation | Slow)
Film- Teri Kasam
Song Title- Kya Hua Ek Baat Par Barsonka Yaraana Gaya
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Kya Hua Ek Baat Par, Barson Ka Yaraana Gaya
Is Bahaane Doston Ka, Pyar Pehchaana Gaya
Kya Hua, Kya Hua, Kya Hua Ek Baat Par, Barson Ka Yaraana Gaya

Kya Sunaayen Hum Kisiko, Pyar Ki Yeh Daastaan
Kya Sunaayen Hum Kisiko, Pyar Ki Yeh Daastaan
Pyar Ki Yeh Daastaan
Jaan Jaane Ko Hai Baaki, Dil To Deewana Gaya
Kya Hua Ek Baat Par, Barson Ka Yaraana Gaya

Unka Unke Gum Ka Ae Dil, Ab Kare Afsos Kya
Unka Unke Gum Ka Ae Dil, Ab Kare Afsos Kya
Ab Kare Afsos Kya
Jisko Aana Thaa Woh Aaya, Jisko Thaa Jaana Gaya
Kya Hua Ek Baat Par, Barson Ka Yaraana Gaya

Unse Milne Ki Ijaazat, Ek Bas Humko Nahin
Ho Unse Milne Ki Ijaazat, Ek Bas Humko Nahin
Ek Bas Humko Nahin
Unse Milne Unke Ghar, Har Apna Begaana Gaya
Ho Kya Hua Ek Baat Par, Barson Ka Yaraana Gaya
Is Bahaane Doston Ka, Pyar Pehchaana Gaya
Kya Hua, Kya Hua, Kya Hua Ek Baat Par, Barson Ka Yaraana Gaya


close window