Kabhi Kisiko Muqammal Jahaan Nahin Milta

Kahin Zameen, To Kahin Aasman Nahin Milta

Jise Bhi Dekhiye, Woh Apne Aap Mein Ghum Hai

Zubaan Mili Hai Magar, Hum-Zubaan Nahin Milta
Zubaan Mili Hai Magar, Hum-Zubaan Nahin Milta
Kabhi Kisiko Muqammal Jahaan Nahin Milta
Bujha Saka Hai, Bhala Kaun Waqt Ke Sholay

Yeh Aisi Aag Hai Jis Mein, Dhuaan Nahin Milta
Yeh Aisi Aag Hai Jis Mein, Dhuaan Nahin Milta
Kabhi Kisiko Muqammal Jahaan Nahin Milta
Tere Jahaan Mein, Aisa Nahin Ki Pyar Na Ho

Jahan Umeed Ho Iski, Wahan Nahin Milta

|