Song ID- 164
Film- Bhavna
Song Title- Mere Dil Mein Tu Hi Tu Hai
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Mere Dil Mein Tu Hi Tu Hai, Dil Ki Dava Kya Karoon

Dil Bhi Tu Hai, Jaan Bhi Tu Hai, Tujhpe Fida Kya Karoon

Khudko Khoke, Tujhko Paakar, Kya Kya Mila Kya Kahoon
Teri Hoke, Jeene Mein Kya Aaya Maza Kya Kahoon
Kaise Din Hain, Kaisi Raatein, Kaisi Fiza Kya Kahoon
Meri Hoke, Tune Mujhko Kya Kya Diya Kya Kahoon
Ho Mere Pahloo Mein Jab Tu Hai, Phir Main Dua Kya Karoon
Dil Bhi Tu Hai, Jaan Bhi Tu Hai, Tujhpe Fida Kya Karoon
Mere Dil Mein Tu Hi Tu Hai, Dil Ki Dava Kya Karoon

Hai Yeh Duniya, Dil Ki Duniya, Milke Rahenge Yahan
Lootenge Hum Khushiyaan Har Pal, Dukh Na Sahenge Yahan
Armaanon Ke Chanchal Dhaare, Aise Bahenge Yahan
Yeh To Sapnon Ki Jannat Hai, Sab Hi Kahenge Yahan
Yeh Duniya Mere Dil Mein Basi Hai, Dil Se Judaa Kya Karoon

close window