Aankhon Mein Humne Aapke Sapne Sajaaye Hain

Palken Uthake Aapne Jaadu Jagaaye Hain
Sapna Bhi Aap Hi Hain Haqeeqat Bhi Aap Hain

Bas Aap Aap Aap Hi Mujhmein Samaaye Hain
Aankhon Mein Humne Aapke Sapne Sajaaye Hain
Aankhon Ka Rang Dhoondha Hai Heere Talaash Kar
Dil Mein Sajaayenge Yeh Rang Yoon Hi Umr Bhar
Mushkil Se Zindagi Ke
Mushkil Se Zindagi Ke Rang Haath Aaye Hain
Aankhon Mein Humne Aapke Sapne Sajaaye Hain
Dohraaye Jaayenge Na Yeh Lamhaat Ab Kabhi
Sapnon Mein Bhi Na Chhootega Yeh Saath Ab Kabhi
Milti Hai Zindagi Jab Aap Muskuraaye Hain

Yeh Dil Kuch Aise Aapke Sajde Mein Jhuk Gaya
Nazren Uthaayeen Aapne To Waqt Ruk Gaya
Thehre Huey Palon Mein
Thehre Huey Palon Mein Zamane Bitaaye Hain
Aankhon Mein Humne Aapke Sapne Sajaaye Hain
Aa Bas Aap Aap Aap Hi Mujhmein Samaaye Hain

|