Kitna Pyara Vaada
Kitna Pyara Vaada Hai In Matwaali Aankhon Ka
Is Masti Mein Soojhe Na Kya Kar Daaloon Haal, Mohe Sambhaal
O Saathiya, O Beliya

Ho Ujaala Ya Andhera, Kahin Na Chhoote Haath Mera
Koi Mera Na Tere Bin, Piya Nibhaana Saath Mera
Are Kora Kora Gora Gora Yeh Ang Tora Haaye, Paagal Mohe Bana Diya
Kitna Pyara Vaada Hai In Matwaali Aankhon Ka
Is Masti Mein Soojhe Na Kya Kar Daaloon Haal, Mohe Sambhaal
Barson Maine Man Jalaaya, Mili Palkon Ki Tab Yeh Chhaaya
Kaante Mere Tan Mein Toote, Gale Se Tune Tab Lagaaya
Ho Saiyyan Pyare Chalta Jaa Re Baiyyan Daare Haaye, Garwah Tohe Laga Liya
Kitna Pyara Vaada Hai In Matwaali Aankhon Ka
Is Masti Mein Soojhe Na Kya Kar Daaloon Haal, Mohe Sambhaal
Roz Uthaake Yeh Nayanwa, Chhua Karoongi Tora Manwa
Jaisi Pehli Saari Chaahan, Sada Chaahoongi Main Sajanwa
Haaye Tere Naina Mere Naina Phir Kya Kehna Haaye, Kya Kya Na Maine Paa Liya

|