Koi Gaata, Main So Jaata
Koi Gaata, Main So Jaata
Koi Gaata
Sanskriti Ke Vistrit Saagar Par
Sapnon Ki Nauka Ke Andar
Sukh Dukh Ki Lehron Par Uth Gir
Behta Jaata, Main So Jaata
Koi Gaata, Main So Jaata
Koi Gaata
Aankhon Mein Bhar Kar Pyar Amar
Aashish Hatheli Mein Bhar Kar
Koi Mera Sir Godi Mein Rakh
Sehlaata, Main So Jaata
Koi Gaata, Main So Jaata
Koi Gaata
Mere Jeevan Ka Kaarajal
Mere Jeevan Ka Haalahal
Mere
Mere Jeevan Ka Kaarajal
Mere Jeevan Ka Haalahal
Koi Apne Swar Mein Madhumay Kar
Barsaata, Main So Jaata
Koi Gaata, Main So Jaata
Koi Gaata
|