Rote Huey, Aate Hain Sab
Rote Huey Aate Hain Sab, Hansta Hua Jo Jaayega
Woh Muqaddar Ka Sikandar
Woh Muqaddar Ka Sikandar, Jaaneman Kehlaayega
Rote Huey, Aate Hain Sab, Hansta Hua Jo Jaayega
Woh Sikandar, Kya Tha Jisne, Zulm Se Jeeta Jahaan

Pyar Se Jeete Dilon Ko, Woh Jhukaade Aasmaan
Jo Sitaaron, Par Kahani, Pyar Ki Likh Jaayega
Woh Muqaddar Ka Sikandar
Woh Muqaddar Ka Sikandar, Jaaneman Kehlaayega
Rote Huey, Aate Hain Sab, Hansta Hua Jo Jaayega
Zindagi To Bewafa Hai, Ek Din Thukraayegi

Maut Mehbooba Hai Apne, Saath Lekar Jaayegi
Marke Jeene Ki Adaa Jo, Duniya Ko Sikhlaayega
Woh Muqaddar Ka Sikandar
Woh Muqaddar Ka Sikandar, Jaaneman Kehlaayega
Rote Huey, Aate Hain Sab, Hansta Hua Jo Jaayega
Humne Maana, Yeh Zamaana, Dard Ki Jaageer Hai

Har Kadam Pe, Aansuon Ki, Ik Nayee Zanjeer Hai
Saaz-E-Gum Par, Jo Khushi Ke, Geet Gaata Jaayega
Woh Muqaddar Ka Sikandar
Woh Muqaddar Ka Sikandar, Jaaneman Kehlaayega
Rote Huey, Aate Hain Sab, Hansta Hua Jo Jaayega
Woh Muqaddar Ka Sikandar
Woh Muqaddar Ka Sikandar, Jaaneman Kehlaayega
Jaaneman Kehlaayega
Jaaneman Kehlaayega
|