Song ID- 2019
Film- Ek Nazar
Song Title- Patta Patta Boota Boota
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Patta Patta, Boota Boota, Haal Hamara Jaane Hai
Patta Patta, Boota Boota, Haal Hamara Jaane Hai, Patta Patta
Jaane Na Jaane, Gul Hi Na Jaane, Baagh To Saara Jaane Hai
Patta Patta, Boota Boota, Haal Hamara Jaane Hai, Patta Patta

Koi Kisiko Chaahe, To Kyon Gunaah Samajhte Hain Log
Koi Kisiki Khaatir, Tadpe Agar To Hanste Hain Log
Begaana Aalam Hai Saara, Yahan To Koi Hamara, Dard Nahin Pehchaane Hai
Patta Patta, Boota Boota, Haal Hamara Jaane Hai, Patta Patta

Chaahat Ke Gul Khilenge, Chalti Rahen Hazaar Aandhiyaan
Hum To Isi Chaman Mein, Baandhenge Pyar Ka Aashiyaan
Yeh Duniya Bijli Giraaye, Yeh Duniya Kaante Bichhaaye, Ishq Magar Kab Maane Hai
Patta Patta, Boota Boota, Haal Hamara Jaane Hai, Patta Patta

Dikhlaayenge Jahaan Ko, Kuch Din Jo Zindagaani Hai Aur
Kaise Na Hum Milenge, Humne Bhi Dil Mein Thaani Hai Aur
Abhi Matwale Dilon Ki, Mohabbatwale Dilon Ki, Baat Koi Kya Jaane Hai
Patta Patta, Boota Boota, Haal Hamara Jaane Hai, Patta Patta
Jaane Na Jaane, Gul Hi Na Jaane, Baagh To Saara Jaane Hai
Patta Patta, Boota Boota, Haal Hamara Jaane Hai, Patta Patta


close window