Kahin Na Aisi, Subah Dekhi
Jaise Baalak Ki Muskaan
Ya Phir Door Kahin, Mandir Mein
Halki Si Murali Ki Taan
Gurubaani, Gurudwaare Mein
To Masjid Se Uthti Aadaan
Aatma Aur Parmaatma, Mile Jahan
Yehi Hai, Woh Sthaan
(Dholi Dhol Bajaana
Taal Se Taal Milaana
Dholi Dhola, Dholi Dhola, Dholi Dhol Bajaana
Ta Ta Thaiyya, Tak Tak Thaiyya, Taal Se Taal Milaana)
Purva Suhani Aayee Re, Purva
Purva Suhani Aayee Re, Purva
Rutuon Ki Rani Aayee Re, Purva
Mere Ruke Nahin Paaon, Naach Utha Saara Gaaon
Preet Pe Jawaani Chhaayee Re, Purva
Purva Suhani Aayee Re, Purva
Mausam Ka Musafir Khada Raste Mein
O Mausam Ka Musafir Khada Raste Mein
Uske Haathon Sab Kuch Luta Saste Mein
Chhoti Si Umariya Hai
Lambi Si Dagariya Re
Jeevan Hai Parchhai Re, Purva
Purva Suhani Aayee Re, Purva
Karle Kar Bhi Le Pyar Ki Pooja
Karle Kar Bhi Le Pyar Ki Pooja
Pyar Ke Rang Pe, Chadhe Na Rang Dooja
Chaahe Koi Sapna Hai, Mere Liye Apna Hai
Baat Meri Man Aayee Re
Purva Suhani Aayee Re, Purva
Ho Miraati(?) Deewani Re Naache Mastani
Miraati(?) Deewani Re Naache Mastani
Hothon Pe Hai Sargam, To Aankhon Mein Paani
Ghungroo Deewane Huey
Rishtey Puraane Huey
Geet Mein Kahani Gaayee Re, Purva
Purva Suhani Aayee Re, Purva
Rutuon Ki Rani Aayee Re, Purva
Mere Ruke Nahin Paaon, Naach Utha Saara Gaaon
Preet Pe Jawaani Chhaayee Re, Purva
Purva Suhani Aayee Re, Purva
(Dholi Dhol Bajaana, Bajaana
Taal Se Taal Milaana, Milaana
Dholi Dhol Bajaana
Taal Se Taal Milaana...)
|