Song ID- 2301
Film- Border
Song Title- To Chalun
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Ae Jaate Huey Lamhon, Zara Thehro Zara Thehro

Ae Jaate Huey Lamhon, Zara Thehro Zara Thehro
Main Bhi To Chalta Hoon, Zara Unse Milta Hoon
Jo Ek Baat Dil Mein Hain, Unse Kahoon
To Chalun To Chalun
To Chalun To Chalun To Chalun
To Chalun To Chalun
To Chalun To Chalun To Chalun
Ae Jaate Huey Lamhon, Zara Thehro Zara Thehro

Unke Chehre Ki Yeh Narmiyaan
Unki Zulfon Ki Yeh Badliyaan
Unki Aankhon Ke Roshan Diye
Unke Hothon Ki Yeh Surkhiyaan

Unke Chehre Ki Yeh Narmiyaan
Unki Zulfon Ki Yeh Badliyaan
Unki Aankhon Ke Roshan Diye
Unke Hothon Ki Yeh Surkhiyaan
Sab Unke Hain Jalwe, Main Chalne Se Pehle
Saanson Mein, Aankhon Mein
Khwaabon Mein, Yaadon Mein
Aur Is Dil Mein Unko, Chhupake Rakhoon
To Chalun To Chalun
To Chalun To Chalun To Chalun
Ae Jaate Huey Lamhon, Zara Thehro Zara Thehro

Main Kahin Bhi Rahoon Ae Sanam
Mujhko Hai Zindagi Ki Kasam
Faasle Aate Jaate Rahen
Pyar Lekin Nahin Hoga Kam

Main Kahin Bhi Rahoon Ae Sanam
Mujhko Hai Zindagi Ki Kasam
Faasle Aate Jaate Rahen
Pyar Lekin Nahin Hoga Kam
Jinhe Chaahoon, Jinhe Poojoon
Unhe Dekhoon, Unhe Chhoo Loon
Zara Baatein To Kar Loon, Zara Baahon Mein Bhar Loon
Main Is Chandse Maathe, Ko Choom Loon

close window