Song ID- 23251
Film- Chitchor
Song Title- Gori Tera Gaaon
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Gori Tera Gaaon Bada Pyara, Main To Gaya Maara, Aake Yahan Re
Us Par Roop Tera Saada, Chandrama Jyoon Aadha, Aadha Jawan Re
Gori Tera Gaaon Bada Pyara, Main To Gaya Maara, Aake Yahan Re, Aake Yahan Re

Jee Karta Hai, Mor Ke Paaon Mein, Payaliya Pehna Doon
Kuhu Kuhu Gaati, Koyaliya Ko, Phoolon Ka Gehna Doon
Yehi Ghar Apna Banane Ko, Panchchi Kare Dekho, Tinke Jama Re, Tinke Jama Re
Gori Tera Gaaon Bada Pyara, Main To Gaya Maara, Aake Yahan Re, Aake Yahan Re

Rang Birange, Phool Khile Hain, Log Bhi Phoolon Jaise
Aa Jaaye Is, Baar Yahan Jo, Jaayega Phir Kaise
Jhar Jhar Jharte Huey Jharne, Man Ko Lage Harne, Aisa Kahan Re, Aisa Kahan Re
Gori Tera Gaaon Bada Pyara, Main To Gaya Maara, Aake Yahan Re, Aake Yahan Re


close window