Song ID- 2620
Film- Do Raaste
Song Title- Dil Ne Dil Ko Pukara
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Chhup Gaye Saare Nazaare, Oye Kya Baat Ho Gayee

Tune Kaajal Lagaaya, Din Mein Raat Ho Gayee

Mil Gaye Naina Se Naina, Oye Kya Baat Ho Gayee

Dil Ne Dil Ko Pukara, Mulakaat Ho Gayee
Dil Ne Dil Ko Pukara, Mulakaat Ho Gayee

Kal Nahin Aana, Mujhe Na Bulaana, Ki Maarega Taana, Zamana

Tere Hothon Pe Raat Yeh Bahaana Tha, Gori Tujhko To Aaj Nahin Aana Tha
Tu Chali Aayee Duhaayee, Oye Kya Baat Ho Gayee

Maine Chhoda Zamana, Tere Saath Ho Gayee

O Tune Kaajal Lagaaya, Din Mein Raat Ho Gayee

Angua(?) Ki Daali, Pe Gaaye Matwaali, Koyaliya Kaali, Niraali

Saawan Aane Ka Kuch Matlab Hoga, Baadal Chhaane Ka Koi Sabab Hoga
Rimjhim Chhaayen Ghataayen, Oye Kya Baat Ho Gayee

Teri Chunri Lehraayee, Barsaat Ho Gayee
Teri Chunri Lehraayee, Barsaat Ho Gayee
Dil Ne Dil Ko Pukara, Mulakaat Ho Gayee

Chhod Na Baiyyan, Padoon Tere Paiyyan, Taaron Ki Chhaiyyan Mein, Saiyyan

Ik Woh Din Tha Milaati Na Thi Tu Akhiyaan, Ik Yeh Din Hai Tu Jaage Saari Saari Ratiyaan
Ban Gayee Gori Chakori, Oye Kya Baat Ho Gayee

Jiska Darr Tha Bedardi, Wohi Baat Ho Gayee
O Jiska Darr Tha Bedardi, Wohi Baat Ho Gayee

close window