Song ID- 3617 ... (Category- Patriotic)
Film- Son Of India
Song Title- Nanna Munna Raahi Hoon
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Nanna Munna Raahi Hoon, Desh Ka Sipaahi Hoon
Bolo Mere Sang, Jai Hind, Jai Hind
Jai Hind, Jai Hind, Jai Hind
Nanna Munna Raahi Hoon, Desh Ka Sipaahi Hoon
Bolo Mere Sang, Jai Hind, Jai Hind
(Jai Hind, Jai Hind, Jai Hind)

Raste Mein Chaloonga Na Darr-Darr Ke
Chaahe Mujhe Jeena Pade Mar-Mar Ke
Manzil Se Pehle, Na Loonga Kahin Dum
Aage Hi Aage Badhaaoonga Kadam
Dahine Baayen, Dahine Baayen, Tham
Nanna Munna Raahi Hoon, Desh Ka Sipaahi Hoon
Bolo Mere Sang, Jai Hind, Jai Hind
(Jai Hind, Jai Hind, Jai Hind)

Naya Hai Zamana, Meri Nayee Hai Dagar
Desh Ko Banaoonga, Mashinon Ka Nagar
Bharat Kisi Se, Rahega Nahin Kam
Aage Hi Aage Badhaaoonga Kadam
Dahine Baayen, Dahine Baayen, Tham
Nanna Munna Raahi Hoon, Desh Ka Sipaahi Hoon
Bolo Mere Sang, Jai Hind, Jai Hind
(Jai Hind, Jai Hind, Jai Hind)

Badaa Ho Ke Desh Ka Sahara Banoonga
Duniya Ki Aankhon Ka Taara Banoonga
Rakhoonga Ooncha, Tirangaa Parcham
Aage Hi Aage Badhaaoonga Kadam
Dahine Baayen, Dahine Baayen, Tham
Nanna Munna Raahi Hoon, Desh Ka Sipaahi Hoon
Bolo Mere Sang, Jai Hind, Jai Hind
(Jai Hind, Jai Hind, Jai Hind)

Shanti Ki Nagri Hai, Mera Yeh Watan
Sab Ko Sikhaaoonga Main Pyar Ka Chalan
Duniya Mein Girne, Na Doonga Kahin Bamb
Aage Hi Aage Badhaaoonga Kadam
Dahine Baayen, Dahine Baayen, Tham
Nanna Munna Raahi Hoon, Desh Ka Sipaahi Hoon
Bolo Mere Sang, Jai Hind, Jai Hind
(Jai Hind, Jai Hind, Jai Hind)


close window