Hamari Hi Mutthi Mein Aakaash Saara
Jab Bhi Khulegi Chamkega Taara
(Hamari Hi Mutthi Mein Aakaash Saara
Jab Bhi Khulegi Chamkega Taara)
Kabhi Na Dhale Jo, Woh Hi Sitaara
Disha Jis Se Pehchaane Sansaar Saara
(Hamari Hi Mutthi Mein Aakaash Saara
Jab Bhi Khulegi Chamkega Taara)
Hamari Hi Mutthi Mein Aakaash Saara
Jab Bhi Khulegi Chamkega Taara
Hatheli Pe Rekhaayen Hain Sab Adhoori
Kisne Likhi Hain Nahin Jaanna Hai
(Hatheli Pe Rekhaayen Hain Sab Adhoori
Kisne Likhi Hain Nahin Jaanna Hai)
Suljhaane Unko Na Aayega Koi
Samajhna Hai Unko Yeh Apna Karam Hai
Apne Karam Se Dikhaana Hai Sabko
Khud Ka Panapna, Ubharna Hai Khud Ko
Andhera Mitaaye Jo Nanha Sharaara
Disha Jis Se Pehchaane Sansaar Saara
(Hamari Hi Mutthi Mein Aakaash Saara
Jab Bhi Khulegi Chamkega Taara)
Hamari Hi Mutthi Mein Aakaash Saara
Jab Bhi Khulegi Chamkega Taara
Hamare Peeche Koi Aaye Na Aaye
Humein Hi To Pehle Pahuchna Wahan Hai
(Hamare Peeche Koi Aaye Na Aaye
Humein Hi To Pehle Pahuchna Wahan Hai)
Jin Par Hai Chalna Nayee Peedhiyon Ko
Unhi Raaston Ko Banaana Humein Hai
Jo Bhi Saath Aaye Unhe Saath Le Le
Agar Na Koi Saath De To Akele
Sulga Ke Khud Ko Mitaale Andhera
Disha Jis Se Pehchaane Sansaar Saara
(Hamari Hi Mutthi Mein Aakaash Saara
Jab Bhi Khulegi Chamkega Taara)
Kabhi Na Dhale Jo, Woh Hi Sitaara
Disha Jis Se Pehchaane Sansaar Saara
(Hamari Hi Mutthi Mein Aakaash Saara
Jab Bhi Khulegi Chamkega Taara)
|