Song ID- 3788
Film- Albela
Song Title- Dheere Se Aaja Ri Akhiyan Mein
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Dheere Se Aaja Ri Akhiyan Mein
Nindiya Aaja Ri Aaja, Dheere Se Aaja
Dheere Se Aaja Ri Akhiyan Mein
Nindiya Aaja Ri Aaja, Dheere Se Aaja
Chupkese Nainan Ki Bagiyan Mein
Nindiya Aaja Ri Aaja, Dheere Se Aaja

Lekar Suhane Sapnon Ki Kaliyaan, Sapnon Ki Kaliyaan
Lekar Suhane Sapnon Ki Kaliyaan, Sapnon Ki Kaliyaan
Aake Basa De Palkon Ki Galiyaan, Palkon Ki Galiyaan
Palkon Ki Chhotisi Galiyan Mein
Nindiya Aaja Ri Aaja, Dheere Se Aaja

Dheere Se Aaja Ri Akhiyan Mein
Nindiya Aaja Ri Aaja, Dheere Se Aaja
Chupkese Nainan Ki Bagiyan Mein
Nindiya Aaja Ri Aaja, Dheere Se Aaja

Taaron Se Chhupkar Taaron Se Chori, Taaron Se Chori
Taaron Se Chhupkar Taaron Se Chori, Taaron Se Chori
Deti Hai Rajni Chanda Ko Lorie
Hansa Hai Chanda Bhi Nindiyan Mein
Nindiya Aaja Ri Aaja, Dheere Se Aaja

Dheere Se Aaja Ri Akhiyan Mein
Nindiya Aaja Ri Aaja, Dheere Se Aaja
Chupkese Nainan Ki Bagiyan Mein
Nindiya Aaja Ri Aaja, Dheere Se Aaja
Chupkese Nainan Ki Bagiyan Mein
Nindiya Aaja Ri Aaja, Dheere Se Aaja


close window