Song ID- 3904
Film- Dil Ne Ikraar Kiya
Song Title- Wapas Kardo Meri Neend
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Wapas Kardo Meri Neend
Wapas Kardo Mera Qaraar
Mujhe Nahin Karna Hai Pyar, Tauba Meri Tauba Meri Tauba
Ab Kya Ho Sakta Hai Yaar
Ab To Karna Padega Pyar
Teer Nazar Ka Ho Gaya Paar, Tauba Meri Tauba Meri Tauba Meri Tauba
Wapas Kardo Meri Neend

Yeh Jo Dil Ka Sauda Hai
Yeh Jo Dil Ka Sauda Hai, Bas Ik Baar Yeh Hota Hai
Yeh Jo Dil Ka Sauda Hai, Bas Ik Baar Yeh Hota Hai
Bas Ik Baar Yeh Hota Hai
Wapas Lelo Apna Dil, Wapas Kardo Mera Dil
Mujhe Nahin Ban-na Dildaar, Tauba Meri Tauba Meri Tauba
Wapas Kardo Meri Neend

Dil Ko Zara Machalne Do
Dil Ko Zara Machalne Do, Yeh Armaan Nikalne Do
Dil Ko Zara Machalne Do, Yeh Armaan Nikalne Do
Yeh Armaan Nikalne Do
Niklenge Dil Ke Armaan, Saath Mein Niklegi Yeh Jaan
Main Nahin Marne Ko Tayyaar, Tauba Meri Tauba Meri
Wapas Kardo Meri Neend

Achcha To Phir Aaj Ke Baad
Achcha To Phir Aaj Ke Baad, Na Milna Na Karna Yaad
Achcha To Phir Aaj Ke Baad, Na Milna Na Karna Yaad
Na Milna Na Karna Yaad
Tujhko Gussa Aaya To, Aaya Mujhe Gusse Pe Pyar
Dil Yoon Dhadka Pehli Baar, Tauba Meri Tauba Meri Tauba Meri Tauba Meri
Wapas Kardo Meri Neend
Wapas Kardo Mera Qaraar
Mujhe Nahin Karna Hai Pyar, Tauba Meri Tauba Meri Tauba Meri Tauba Meri
Ab Kya Ho Sakta Hai Yaar
Ab To Karna Padega Pyar
Teer Nazar Ka Ho Gaya Paar, Tauba Meri Tauba Meri Tauba Meri Tauba


close window