Song ID- 4909
Film- Gol Maal
Song Title- Ek Baat Kahoon
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Ek Baat Kahoon Gar Maano Tum, Sapnon Mein Na Aana Jaano Tum
Main Neend Mein Uthkar Chalti Hoon, Jab Dekhti Hoon Sach Maano Tum

Kal Bhi Hua Ki Tum, Guzre The Paas Se
Thode Se Anbane, Thode Udaas Se
Bhaagi Thi Manaane, Neend Mein Lekin
Sofe Se Gir Padi
Ek Baat Kahoon Gar Maano Tum, Sapnon Mein Na Aana Jaano Tum
Main Neend Mein Uthkar Chalti Hoon, Jab Dekhti Hoon Sach Maano Tum

Parson Ki Baat Hai, Tumne Bulaaya Tha
Tumhare Haath Mein, Chehra Chhupaaya Tha
Chooma Tha Haath Ko Neend Mein Lekin
Paaya Palang Ka Tha
Ek Baat Kahoon Gar Maano Tum, Sapnon Mein Na Aana Jaano Tum
Main Neend Mein Uthkar Chalti Hoon, Jab Dekhti Hoon Sach Maano Tum

Us Din Bhi Raat Ko, Tum Khwaab Mein Mile
Aur Khaam-Khaa Ke Bas, Karte Rahe Gile
Kaash Yeh Neend Aur Khwaab Ke Yoon Hi
Chalte Rahen Silsile

close window