Khamosh Sa Afsana, Paani Se Likha Hota
Khamosh Sa Afsana, Paani Se Likha Hota
Na Tumne Kaha Hota, Na Humne Suna Hota
Khamosh Sa Afsana
Dil Ki Baat Na Poochho, Dil To Aata Rahega
Dil Ki Baat Na Poochho, Dil To Aata Rahega
Dil Behkaata Raha Hai, Dil Behkaata Rahega
Dil Ko, Tumne, Ho Kuch Samjhaaya Hota
Khamosh Sa Afsana, Paani Se Likha Hota
Na Tumne Kaha Hota, Na Humne Suna Hota
Khamosh Sa Afsana
Sehme Se Rehte Hain, Jab Yeh Din Dhalta Hai
Sehme Se Rehte Hain, Jab Yeh Din Dhalta Hai
Ek Diya Bujhta Hai, Ek Diya Jalta Hai
Tumne, Koi, Ho Deep Jalaaya Hota
Khamosh Sa Afsana, Paani Se Likha Hota
Na Tumne Kaha Hota, Na Humne Suna Hota
Khamosh Sa Afsana
Kitne Saahil Dhoondhe, Koi Na Saamne Aaya
Kitne Saahil Dhoondhe, Koi Na Saamne Aaya
Jab Majdhaar Mein Doobe, Saahil Thaamne Aaya
Tumne, Saahil, Ho Pehle Bichhaaya Hota
Khamosh Sa Afsana, Paani Se Likha Hota
Na Tumne Kaha Hota, Na Humne Suna Hota
Khamosh Sa Afsana
|