Song ID- 5457
Film- Aarti
Song Title- Ab Kya Misaal Doon Tumhare Shabab Ki
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Ab Kya Misaal Doon Main Tumhare Shabaab Ki
Insaan Ban Gayee Hai Kiran, Mah-Taab Ki
Ab Kya Misaal Doon

Chehre Mein Ghul Gaya Hai, Haseen Chandni Ka Noor
Aankhon Mein Hai Chaman Ki, Jawaan Raat Ka Suroor
Gardan Hai Ik Jhuki Hui Daali, Daali Gulaab Ki
Ab Kya Misaal Doon Main Tumhare Shabaab Ki
Ab Kya Misaal Doon

Gesu Khule To Shaam Ke, Dil Se Dhuaan Uthe
Chhoole Kadam To Jhuk-ke, Na Phir Aasman Uthe
Sau Baar Jhilmilaaye Shamaa, Shamaa Aaftaab Ki
Ab Kya Misaal Doon

Deewaar-O-Dar Ka Rang Yeh, Aanchal Yeh Pairahan
Ghar Ka Mere Chiraag Hai, Boota Sa Yeh Badan
Tasveer Ho Tum Hi Mere Jannat Ke, Jannat Ke Khwaab Ki
Ab Kya Misaal Doon Main Tumhare Shabaab Ki
Insaan Ban Gayee Hai Kiran, Mah-Taab Ki
Ab Kya Misaal Doon


close window