Surmayee Shaam Is Tarah Aaye
Surmayee Shaam Is Tarah Aaye
Saans Lete Hain Jis Tarah Saaye
Surmayee Shaam Is Tarah Aaye
Saans Lete Hain Jis Tarah Saaye
Surmayee Shaam
Koi Aahat Nahin Badan Ki Kahin
Phir Bhi Lagta Hai Tu Yahin Hai Kahin
Koi Aahat Nahin Badan Ki Kahin
Phir Bhi Lagta Hai Tu Yahin Hai Kahin
Waqt Jaata Sunayee Deta Hai
Tera Saaya Dikhayee Deta Hai
Jaise Khushboo Nazar Se Chhoo Jaaye
Jaise Khushboo Nazar Se Chhoo Jaaye
Saans Lete Hain Jis Tarah Saaye
Surmayee Shaam
Din Ka Jo Bhi Paher Guzarta Hai
Koi Ehsaan Sa Utarta Hai
Din Ka Jo Bhi Paher Guzarta Hai
Koi Ehsaan Sa Utarta Hai
Waqt Ke Paaon Dekhta Hoon Main
Roz Yeh Chaaon Dekhta Hoon Main
Aaye Jaise Koi Khayal Aaye
Aaye Jaise Koi Khayal Aaye
Saans Lete Hain Jis Tarah Saaye
Surmayee Shaam Is Tarah Aaye
Saans Lete Hain Jis Tarah Saaye
Surmayee Shaam
|