Humse Roshan Hain Chand Aur Taare, Humko Daaman Samajhiye Gairat Ka
Uth Gaye Hum Agar Zamaane Se, Naam Mit Jaayega Mohabbat Ka
Dil Hai Naazuk Kali Se Phoolon Se, Yeh Na Toote Khayaal Rakhiyega
Aur Agar Aapse Yeh Toot Gaya, Jaan-E-Jaan Itna Hi Samajhiyega
Kya
Phir Koi Baanvri Mohabbat Ki, Apni Zulfein Nahin Sanvaaregi
Aarti Phir Kisi Kanhaiyya Ki, Koi Radha Nahin Utaaregi
Aao Huzoor Tumko, Sitaaron Mein Le Chaloon
Dil Jhoom Jaaye Aisi, Bahaaron Mein Le Chaloon

Aao Huzoor Aao
Humraaz Humkhayaal To Ho, Humnazar Bano
Tay Hoga Zindagi Ka Safar, Humsafar Bano

Chaahat Ke Ujle Ujle, Nazaaron Mein Le Chaloon
Dil Jhoom Jaaye Aisi, Bahaaron Mein Le Chaloon
Aao Huzoor Aao
Likhdo
Likhdo Kitaab-E-Dil Pe Koi, Aisi Daastaan
Jiski Misaal De Na Sakein, Saaton Aasmaan

Baahon Mein Baahein Daale, Hazaaron Mein Le Chaloon

|