Song ID- 6670 ... (Category- Marriage)
Film- Zubeidaa
Song Title- Mehndi Hai Rachnewali
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Mehndi Hai Rachnewali, Haathon Mein Gehri Laali
Kahen Sakhiyaan, Ab Kaliyaan, Haathon Mein Khilne Wali Hain
Tere Man Ko, Jeevan Ko, Nayee Khushiyaan Milne Wali Hain

O Hariyaali Banno...
Le Jaane Tujhko Guiyyaan, Aanewale Hain Saiyyaan
Thaamenge Aake Baiyyaan, Goonjengi Shehnaai
Angnaai, Angnaai
Mehndi Hai Rachnewali, Haathon Mein Gehri Laali
Kahen Sakhiyaan, Ab Kaliyaan, Haathon Mein Khilne Wali Hain
Tere Man Ko, Jeevan Ko, Nayee Khushiyaan Milne Wali Hain

Gaayen Maiyya Aur Mausi, Gaayen Behna Aur Bhaabhi Ki
Mehndi Khil Jaaye, Rang Laaye, Hariyaali Banni
Gaayen Phoopi Aur Chaachi, Gaayen Naani Aur Daadi Ki
Mehndi Man Bhaaye, Saj Jaaye, Hariyaali Banni
Mehndi Roop Sanvaare, Ho, Mehndi Rang Nikhaare, Ho
Hariyaali Banni Ke Aanchal Mein Utrenge Taare
Mehndi Hai Rachnewali, Haathon Mein Gehri Laali
Kahen Sakhiyaan, Ab Kaliyaan, Haathon Mein Khilne Wali Hain
Tere Man Ko, Jeevan Ko, Nayee Khushiyaan Milne Wali Hain

Gaaje-Baaje Baaraati, Ghoda-Gaadi Aur Haathi Ko
Laayenge Saajan, Tere Aangan, Hariyaali Banni
Teri Mehndi Woh Dekhenge, To Apna Dil Rakh Denge Woh
Pairon Mein Tere, Chupke Se, Hariyaali Banni

close window