Song ID- 6816
Film- Bahu Begum
Song Title- Hum Intezaar Karenge (duet)
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Hum Intezaar Karenge
Hum Intezaar Karenge Tera Qayamat Tak
Khuda Kare Ki Qayamat Ho Aur Tu Aaye
Khuda Kare Ki Qayamat Ho Aur Tu Aaye
Hum Intezaar Karenge

Yeh Intezaar Bhi Ek Imtihaan Hota Hai
Kisi Se Ishq Ka Shola Jawaan Hota Hai
Yeh Intezaar Salaamat Ho Haaye
Yeh Intezaar Salaamat Ho Aur Tu Aaye
Khuda Kare Ki Qayamat Ho Aur Tu Aaye
Hum Intezaar Karenge

Bichhaaye Shauq Ke Sajde Wafa Ki Raahon Mein
Khade Hain Deep Ki Hasrat Liye Nigaahon Mein
Kubool-E-Dil Ki Ibaadat Ho Haaye
Kubool-E-Dil Ki Ibaadat Ho Aur Tu Aaye
Khuda Kare Ki Qayamat Ho Aur Tu Aaye
Hum Intezaar Karenge

Woh Khushnaseeb Hai Jisko Tu Intekhaab Kare
Woh Khushnaseeb Hai Jisko Tu Intekhaab Kare
Khuda Hamari Mohabbat Ko Kaamyaab Kare
Jawaan Sitaara-E-Kismat Ho
Jawaan Sitaara-E-Kismat Ho Aur Tu Aaye
Khuda Kare Ki Qayamat Ho Aur Tu Aaye
Hum Intezaar Karenge


close window