Dard-E-Dil
Dard-E-Jigar
Dil Mein Jagaaya Aapne
Dard-E-Dil, Dard-E-Jigar, Dil Mein Jagaaya Aapne
Pehle To Main Shaayar Tha, Pehle To Main Shaayar Tha
Aashiq Banaaya Aapne
Dard-E-Dil, Dard-E-Jigar, Dil Mein Jagaaya Aapne
Dard-E-Dil, Dard-E-Jigar, Dil Mein Jagaaya Aapne
Aapki Madhosh Nazrein Kar Rahi Hain Shaayari

Yeh Ghazal Meri Nahin, Yeh Ghazal Hai Aapki
Maine To Bas Woh Likha, Jo Kuch Likhaaya Aapne
Dard-E-Dil, Dard-E-Jigar, Dil Mein Jagaaya Aapne
Dard-E-Dil, Dard-E-Jigar, Dil Mein Jagaaya Aapne
Kab Kahan Sab Kho Gayeen, Jitni Bhi Thin Parchhaiyan
Uth Gayee Yaaron Ki Mehfil, Ho Gayeen Tanhaiyyan

Kya Kiya Shaayad Koi, Parda Giraaya Aapne
Dard-E-Dil, Dard-E-Jigar, Dil Mein Jagaaya Aapne
Dard-E-Dil, Dard-E-Jigar, Dil Mein Jagaaya Aapne
Aur Thodi Der Mein Bas, Hum Judaa Ho Jaayenge

Aapko Dhoondhoonga Kaise, Raaste Kho Jaayenge
Naam Tak Bhi To Nahin, Apna Bataaya Aapne
Dard-E-Dil, Dard-E-Jigar, Dil Mein Jagaaya Aapne
Pehle To Main Shaayar Tha, Aashiq Banaaya Aapne

|