Romeo Juliet, Laila Majnu, Shiri Aur Farhad
Inka Sachcha Ishq, Zamane Ko Ab Tak Hai Yaad
Yaad, Yaad Mujhe Aaya Hai Ek Aise Dilbar Ka Naam
Jisne Dhoka Dekar Naam-E-Ishq Kiya Badnaam
Yehi Hai Saahibaan Kahani Pyar Ki
Kisine Jaan Li, Kisine Jaan Di
Ek Haseena Thi, Ek Deewana Tha
Kya Umar, Kya Sama, Kya Zamaana Tha...
Ek Haseena Thi, Haseena Thi, Ek Deewana Tha, Deewana Tha
Kya Umar, Kya Sama, Kya Zamaana Tha...
Ek Din Woh Mile, Roz Milne Lage
Ek Din Woh Mile, Roz Milne Lage
Phir Mohabbat Hui, Bas Qayamat Hui
Kho Gaye Tum Kahan, Sunke Yeh Daastaan
Log Hairaan Hain, Kyonki Anjaan Hai
Ishq Ki Woh Gali, Baat Jiski Chali
Us Gali Mein, Mera Aana, Jaana Tha
Ek Haseena Thi, Ek Deewana Tha
Kya Umar Thi, Kya Sama Tha, Kya Zamaana Tha
Ek Haseena Thi, Ek Deewana Tha
Us Haseen Ne Kaha
Us Haseen Ne Kaha, Suno Jaan-E-Wafa
Yeh Falaq Yeh Zameen, Tere Bin Kuchh Nahin
Tujhpe Marti Hoon Main, Pyar Karti Hoon Main
Baat Kuchh Aur Thi, Woh Nazar Chor Thi
Uske Dil Mein Chhupi, Chaahat Aur Dar Ki Thi (?)
Pyar Ka, Woh Faqat, Ek Bahaana Tha
Ek Haseena Thi, Ek Deewana Tha
Kya Umar Thi, Kya Sama Tha, Kya Zamaana Tha
Ek Haseena Thi, Ek Deewana Tha
Bewafa Yaar Ne, Apne Mehboob Se
Aisa Dhoka Kiya, (Aisa Dhoka Kiya, Aisa Dhoka Kiya)
Aisa Dhoka Kiya, Zahar Usko Diya
Zahar Usko Diya
Mar Gaya, Woh Jawaan
Mar Gaya, Woh Jawaan
Ab Suno Daastaan...
Janm Leke Kahin, Phir Woh Pahuncha Wahin
Shakl Anjaan Thi, Akl Hairaan Thi
Saamna Jab Hua
Saamna Jab Hua, Phir Wohi Sab Hua
Uspe Yeh Karz Tha, Uska Yeh Farz Tha
Farz Ko Karz Apna, Chukaana Tha
|