Song ID- 7381
Film- Umraao Jaan
Song Title- Yeh Kya Jagah Hai Doston
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Yeh Kya Jagah Hai Doston
Yeh Kya Jagah Hai Doston, Yeh Kaunsa Dayaar Hai, Yeh Kaunsa Dayaar Hai
Had-E-Nigaah Tak Jahan
Had-E-Nigaah Tak Jahan, Gubaar Hi Gubaar Hai, Gubaar Hi Gubaar Hai
Yeh Kya Jagah Hai Doston

Yeh Kis Maqaam Par Hayaat
Yeh Kis Maqaam Par Hayaat, Mujhko Leke Aa Gayee, Mujhko Leke Aa Gayee
Na Bas Khushi Pe Hai Jahan
Na Bas Khushi Pe Hai Jahan, Na Gum Pe Ikhtiyaar Hai, Na Gum Pe Ikhtiyaar Hai
Yeh Kya Jagah Hai Doston, Yeh Kaunsa Dayaar Hai, Yeh Kaunsa Dayaar Hai

Tamaam Umr Ka Hisaab
Tamaam Umr Ka Hisaab, Maangti Hai Zindagi, Maangti Hai Zindagi
Yeh Mera Dil Kahe To Kya
Yeh Mera Dil Kahe To Kya, Ke Khudse Sharmsaar Hai, Ke Khudse Sharmsaar Hai
Yeh Kya Jagah Hai Doston, Yeh Kaunsa Dayaar Hai, Yeh Kaunsa Dayaar Hai

Bula Raha Hai Kaun
Bula Raha Hai Kaun Mujhko Chilmanon Ke Us Taraf
Mere Liye Bhi Kya Koi
Mere Liye Bhi Kya Koi, Udaas Beqaraar Hai, Udaas Beqaraar Hai
Yeh Kya Jagah Hai Doston, Yeh Kaunsa Dayaar Hai, Yeh Kaunsa Dayaar Hai
Had-E-Nigaah Tak Jahan, Gubaar Hi Gubaar Hai, Gubaar Hi Gubaar Hai
Yeh Kya Jagah Hai Doston


close window