Koi Yeh Kaise Bataaye Ki
Woh Tanha Kyon Hai
Woh Jo Apna Tha Wohi
Aur Kisika Kyon Hai
Yehi Duniya Hai To Phir
Aisi Yeh Duniya Kyon Hai
Yehi Hota Hai To Aakhir
Yehi Hota Kyon Hai
Ek Zara Haath Badha De To
Pakad Len Daaman
Uske Seene Mein Sama Jaaye
Hamari Dhadkan
Itni Kurbat To Phir
Faasla Itna Kyon Hai
Dil-E-Barbaad Se Nikla Nahin
Ab Tak Koi
Ek Lute Ghar Par Diya Karta Hai
Dastak Koi
Aas Jo Toot Gayee Phir Se
Bandhata Kyon Hai
Tum Masarrat Ka Kaho Ya
Ise Gum Ka Rishta
Kehte Hain Pyar Ka Rishta Hai
Janam Ka Rishta
Hai Janam Ka Jo Yeh Rishta To
Badalta Kyon Hai
|