O Thehro, Meri Jaan
Vaada Karo Nahin Chhodogi Tum Mera Saath
Jahan Tum Ho, Wahan Main Bhi Hoon
Vaada Karo Nahin Chhodogi Tum Mera Saath
Jahan Tum Ho, Wahan Main Bhi Hoon
Chhuo Nahin Dekho Zara Peeche Rakkho Haath
Jawaan Tum Ho, Jawaan Main Bhi Hoon
Chhuo Nahin Dekho Zara Peeche Rakkho Haath
Jawaan Tum Ho, Jawaan Main Bhi Hoon
Suno Meri Jaan, Hans Ke Mujhe Yeh Keh Do
Bheege Labhon Ki Narmi, Mere Liye Hai
Ho Jawaan Nazar Ki, Masti Mere Liye Hai
Haseen Ada Ki Shokhi, Mere Liye Hai
Mere Liye Leke Aayee Ho Yeh Saugaat
Jahan Tum Ho, Wahan Main Bhi Hoon
Chhuo Nahin Dekho Zara Peeche Rakkho Haath
Jawaan Tum Ho, Jawaan Main Bhi Hoon
Mere Hi Peeche, Aakhir Pade Ho Tum Kyon
Ek Main Jawaan Nahin Hoon, Aur Bhi To Hain
O Mujhe Hi Ghere, Aakhir Khade Ho Tum Kyon
Main Hi Yahan Nahin Hoon, Aur Bhi To Hain
Jaao Jaake Le Lo Jo Bhi De De Tumhe Haath
Jahan Sab Hain, Wahan Main Bhi Hoon
Vaada Karo Nahin Chhodogi Tum Mera Saath
Jahan Tum Ho, Wahan Main Bhi Hoon
Jawaan Kayee Hain, Lekin Jahaan Mein Koi
Tumsi Haseen Nahin Hai, Hum Kya Karen
Ho Tumhe Miloon Main, Iska Tumhe Yakeen Hai
Humko Yakeen Nahin Hai, Hum Kya Karen
Aise Nahin Phoolo Zara Dekho Auqaat
Kisika To Dena Hoga De Do Mera Saath
Jahan Tum Ho, Wahan Main Bhi Hoon
Chhuo Nahin Dekho Zara Peeche Rakkho Haath
Jawaan Tum Ho, Jawaan Main Bhi Hoon
Jahan Tum Ho, Wahan Main Bhi Hoon
|