Aate Jaate, Hanste Gaate
Socha Tha Maine Man Mein Kayee Baar
Woh Pehli Nazar, Halka Sa Asar
Karta Hai Kyon Is Dil Ko Beqaraar
Ruk Ke Chalna, Chal Ke Rukna
Na Jaane Tumhe Hai Kiska Intezaar
Tera Woh Yakeen, Kahin Main To Nahin
Lagta Hai Yehi Kyon Mujhko Baar Baar
Yehi Sach Hai Shaayad Maine Pyar Kiya
Haan Haan, Tumse Maine Pyar Kiya
Aate Jaate, Hanste Gaate
Socha Tha Maine Man Mein Kayee Baar
Hothon Ki Kali, Kuch Aur Khili
Yeh Dil Pe Hua Kiska Ikhtiyaar
Tum Kaun Ho, Batlaa To Do
Kyon Karne Lagi Main Tumpe Aitbaar
Khamosh Rahoon, Ya Main Keh Doon
Ya Karloon Main Chupke Se Yeh Sweekaar
Yehi Sach Hai Shaayad Maine Pyar Kiya
Haan Haan, Tumse Maine Pyar Kiya
|