Song ID- 8822 ... (Categories- Religious | Life)
Film- Avtaar
Song Title- Uparwale Tera Jawab Nahin
    Lyrics:
www.kaustubh.com- lyrics

Ho Uparwale, Uparwale
Uparwale, Uparwale
Ho Uparwale Tera Jawaab Nahin
Ho Uparwale Tera Jawaab Nahin, Kab De Kya De Hisaab Nahin
(Uparwale Tera Jawaab Nahin, Kab De Kya De Hisaab Nahin)
Teri Meharbaaniyon Ka Jawaab Nahin
Uparwale Tera Jawaab Nahin, Kab De Kya De Hisaab Nahin
Ho Uparwale
Ho Uparwale

Mujhko Biwi Ka Pyar Diya, Jannat Jaisa Ghar-Baar Diya
Mujhko Biwi Ka Pyar Diya, Jannat Jaisa Ghar-Baar Diya
Har Haal Mein Khush Rehta Hai Tu, Dariya Ki Tarah Behta Hai Tu
Oye Tu Nahin, Tum Nahin, Aap Main, Are Do Beton Ka, Baap Main
Is Se Badaa Koi Khitaab Nahin
Uparwale Tera Jawaab Nahin, Kab De Kya De Hisaab Nahin
Ho Uparwale

Tu Ek Haath Se Leta Hai, To Sau Haathon Se Deta Hai
Tu Ek Haath Se Leta Hai, To Sau Haathon Se Deta Hai
Is Dil Ko Diye Armaan Bade, Mujhpar Hain Tere Ehsaan Bade
Kuchh Log Hain Jooton Ko Rote
Ho Kuchh Log Hain Jooton Ko Rote, Kuchh Logon Ke Paaon Nahin Hote
Mera Haal Itna Kharaab Nahin
Uparwale Tera Jawaab Nahin, Kab De Kya De Hisaab Nahin
Ho Uparwale

Taareef Karoon Teri Kaise, Kadki Mein Bhej Diye Paise
Taareef Karoon Teri Kaise, Kadki Mein Bhej Diye Paise
Himmat Ka Mujhe Paigaam Diya, Mehnat Ka Mujhe Inaam Diya
Dukh Sukh Saathi Hain Duniya Mein
Ho Dukh Sukh Saathi Hain Duniya Mein, Phoolon Kaliyon Ki Bagiya Mein
Kaante Bhi Hain Sirf Gulaab Nahin
Uparwale Tera Jawaab Nahin, Kab De Kya De Hisaab Nahin
Teri Meharbaaniyon Ka Jawaab Nahin
(Uparwale Tera Jawaab Nahin, Kab De Kya De Hisaab Nahin)
Ho Uparwale
Ho Uparwale


close window