Aaina Dekhke Bole Yeh Sanwarnewale
Ab To Bemaut Marenge Mere Marnewale
Dekhke Tumko Hosh Mein Aana Bhool Gaye
Yaad Rahe Tum Aur Zamana Bhool Gaye
Jab Saamne Tum
Jab Saamne Tum Aa Jaate Ho, Kya Jaaniye Kya Ho Jaata Hai
Kuch Mil Jaata Hai, Kuch Kho Jaata Hai, Kya Jaaniye Kya Ho Jaata Hai
Chaaha Tha Yeh Kahenge, Socha Tha Woh Kahenge
Aaye Woh Saamne To, Kuch Bhi Na Keh Sake Bas, Dekha Kiye Hum
Dekhkar Tumko Yakeen Hota Hai
Dekhkar Tumko Yakeen Hota Hai, Koi Itna Bhi Haseen Hota Hai
Dekh Paate Hain Kahan Hum Tumko, Dil Kahin Hosh Kahin Hota Hai
Jab Saamne Tum
Ho Jab Saamne Tum Aa Jaate Ho, Kya Jaaniye Kya Ho Jaata Hai
Kuch Mil Jaata Hai, Kuch Kho Jaata Hai, Kya Jaaniye Kya Ho Jaata Hai
Aakar Chale Na Jaana, Aise Nahin Sataana
Dekar Hansi Labhon Ko, Aankhon Ko Mat Rulaana
Dena Na Beqaraari Dil Ka Qaraar Banke
Yaadon Mein Kho Na Jaana Tum Intezaar Banke, Intezaar Banke
Bhool Kar Tumko Na Jee Paayenge
Bhool Kar Tumko Na Jee Paayenge, Saath Tum Hogi Jahan Jaayenge
Hum Koi Waqt Nahin Hain Humdum, Jab Bulaaogi Chale Aayenge
Jab Saamne Tum
Haan Haan Haan Jab Saamne Tum Aa Jaate Ho, Kya Jaaniye Kya Ho Jaata Hai
Kuch Mil Jaata Hai, Kuch Kho Jaata Hai, Kya Jaaniye Kya Ho Jaata Hai
|